Tanhai Shayari, Shahar Ki Tanhai
Hindi Alone Shayari in Two Lines

Kitni Ajeeb Hai Iss Shahar Ki Tanhai Bhi,
Hajaro Log Hain Magar Koi Uss Jaisa Nahi Hai.
कितनी अजीब है इस शहर की तन्हाई भी,
हजारों लोग हैं मगर कोई उस जैसा नहीं है।
Ek Tere Na Hone Se Badal Jata Hai Sab Kuchh,
Kal Dhoop bhi Deewar Par Poori Nahi Utri.
एक तेरे ना होने से बदल जाता है सब कुछ
कल धूप भी दीवार पे पूरी नहीं उतरी।
Dil Gaya Toh Koi Aankhein Bhi Le Jaata,
Faqat Ek Hi Tasvir Kahan Tak Dekhun.
दिल गया तो कोई आँखें भी ले जाता,
फ़क़त एक ही तस्वीर कहाँ तक देखूँ।
Kabhi Jab Gaur Se Dekhoge Toh Itna Jaan Jaoge,
Ke Tumhare Bin Har Lamha Humari Jaan Leta Hai.
कभी जब गौर से देखोगे तो इतना जान जाओगे,
कि तुम्हारे बिन हर लम्हा हमारी जान लेता है।
Koi Rafeeq, Na Rahbar, Na Koi RahGujar,
Udaa Ke Layi Hai Kis Shahar Mein Hawa Mujhko.
कोई रफ़ीक़ न रहबर न कोई रहगुज़र,
उड़ा के लाई है किस शहर में हवा मुझको।