Alone Shayari, Fikr Meri Tanhayi Ki

Heart Touching Poetry about Loneliness in Night

Advertisement

Alone Shayari, Sad Lonely Girl

Kitni Fikr Hai Kudrat Ko Meri Tanhayi Ki,
Jagte Rahte Hain Raat Bhar Sitare Mere Liye.
कितनी फ़िक्र है कुदरत को मेरी तन्हाई की,
जागते रहते हैं रात भर सितारे मेरे लिए।

Meri Tanhayian Karti Hain Jinhein Yaad Sadaa,
Unn Ko Bhi Meri Jarurat Ho Jaroori Toh Nahi.
​मेरी तन्हाइयां करती हैं ​जिन्हें याद सदा,
उन को भी मेरी ज़रुरत हो ज़रूरी तो नहीं।

Advertisement

Kaise Din Aaye Ke Tera Zikar Fasana Hua Hai,
Aise Lagta Hai Tujhe Dekhe Zamana Hua Hai.
कैसे दिन आये कि तेरा ज़िक्र फ़साना हुआ है,
ऐसे लगता है तुझे देखे ज़माना हुआ है।

Tere Saath Hone Tak Hi Mehsoos Hui Zindagi,
Na Tere Aane Se Pehle Na Tere Jaane Ke Baad.
तेरे साथ होने तक ही महसूस हुई जिंदगी,
न तेरे आने से पहले न तेरे जाने के बाद।

Aata Nahi Hai Jeena Uss Nadan Ke Bagair,
Kash Uss Shakhs Ne Marna Bhi Sikhaya Hota.
आता नहीं है जीना उस नादान के बगैर,
काश उस शख्स ने मरना भी सिखाया होता।

Tera Pehlu Tere Dil Ki Tarah Aabad Rahe,
Tujh Pe Gujre Na Qayamat Shab-e-Tanhayi Ki.
तेरा पहलू तेरे दिल की तरह आबाद रहे,
तुझपे गुज़रे न क़यामत शब-ए-तन्हाई की।

Advertisement

Alone Shayari, Woh Josh-e-Tanhai

Alone Shayari, Hum Tanha Hi Achchhe

Comments