Alone Shayari, Main Hajaaron Mein Tanha
Beautiful Heart Touching Shayari on Tanhai
Mera Aur Uss Chaand Ka Muqaddar Ek Jaisa Hai,
Woh Taaron Mein Tanha Main Hajaaron Mein Tanha.
मेरा और उस चाँद का मुकद्दर एक जैसा है,
वो तारों में तन्हा है और मैं हजारों में तन्हा।

Ek Purana Mausam Lauta Yaad Bhari Purwai Bhi,
Aisa Toh Kam Hi Hota Hai Woh Bhi Ho Tanhai Bhi.
एक पुराना मौसम लौटा याद भरी पुरवाई भी,
ऐसा तो कम ही होता है वो भी हो तन्हाई भी।
Kuchh Log Zamane Mein Aise Bhi Hote Hain,
Mehfil Mein Toh Hanste Hain Tanhai Mein Rote Hain.
कुछ लोग जमाने में ऐसे भी तो होते हैं,
महफिल में तो हंसते हैं तन्हाई में रोते हैं।
Jarurat Jab Bhi Thi Mujh Ko Kisi Ke Saath Ki,
Unhi Makhsoos Lamhon Mein Mujhe Chhoda Hai Apno Ne.
जरुरत जब भी थी मुझको किसी के साथ की,
उन्हीं मखसूस लम्हों में मुझे छोड़ा है अपनों ने।
Ghar Bana Kar Mere Dil Mein Woh Chhod Gaya,
Na Khud Rehta Hai Na Kisi Aur Ko Basne Deta Hai.
घर बना कर मेरे दिल में वो छोड़ गया,
न खुद रहता है न किसी और को बसने देता है।