Two Line Shayari, Hoti Agar Mohabbat
Awesome Telling Two Liner Shayari in Hindi
Hoti Agar Mohabbat Baadal Ke Saaye Ki Tarah,
To Main Tere Shahar Me Kabhi Dhoop Na Aane Deta.
होती अगर मोहब्बत बादल के साये की तरह,
तो मैं तेरे शहर में कभी धूप ना आने देता।
Abhi Myaan Mein Talwaar Mat Rakh Apni,
Abhi Toh Shahar Mein Ek Be-Qasoor Baaqi Hai.
अभी मियान में तलवार मत रख अपनी
अभी तो शहर में इक बे-क़सूर बाक़ी है।
Kuchh Log Mere Shahar Mein Khushboo Ki Tarah Hain,
Mahsoos Toh Hote Hain Dikhayi Nahi Dete.
कुछ लोग मेरे शहर में खुशबु की तरह हैं,
महसूस तो होते हैं दिखाई नहीं देते।
Mujhe Uchayion Par Dekhkar Hairan Hain Bahut Log,
Par Kisi Ne Mere Pairon Ke Chhale Nahi Dhekhe.
मुझे ऊंचाइयों पर देखकर हैरान है बहुत लोग,
पर किसी ने मेरे पैरो के छाले नहीं देखे।
Zindgi Ajnabi Mod Par Le Aayi Hai,
Tum Chup Ho Mujhse Aur Main Chup Hun Sabse.
जिंदगी अजनबी मोड़ पर ले आई है,
तुम चुप हो मुझ से और मैं चुप हूँ सबसे।