Kash Shayari Collection
Latest 2 Lines Kaash Shayari in Hindi and English Script
Wo Roz Dekhta Hai DoobTe Suraj Ko Iss Tarah,
Kaash... Main Bhi Kisi Shaam Ka Manzar Hota.
वो रोज़ देखता है डूबते सूरज को इस तरह,
काश... मैं भी किसी शाम का मंज़र होता।
Kaash Ke Woh Laut Ke Aayein Mujhse Yeh Kehne,
Ke Tum Kaun Hote Ho Mujhse Bichhadne Wale.
काश कि वो लौट के आयें मुझसे ये कहने,
कि तुम कौन होते हो मुझसे बिछड़ने वाले।
Uss Ki Hasrat Ko Mere Dil Mein Likhne Wale,
Kash Uss Ko Bhi Meri Qismat Mein Likha Hota.
उस की हसरत को मेरे दिल में लिखने वाले,
काश... उसको भी मेरी क़िस्मत में लिखा होता।
Kaash Tu Bhi Ban Jaye Teri Yaadon Ki Tarah,
Na Waqt Dekhe Na Bahana, Bas Chali Aaye.
काश... तू भी बन जाए तेरी यादों कि तरह,
न वक़्त देखे न बहाना बस चली आये।
Kaash Woh Aaye Aur Dekh Kar Kahe Mujhse,
Hum Mar Gaye Hain Kya? Jo Itne Udaas Rahte Ho.
काश वो आ जायें और देख कर कहें मुझसे,
हम मर गये हैं क्या? जो इतने उदास रहते हो।
Kaash Tu Samajh Sakti Mohabbat Ke Usoolo Ko,
Kisi Ki Saanso Me Samakar Use Tanha Nahi Karte.
काश... तू समझ सकती मोहब्बत के उसूलो को,
किसी की सांसो में समाकर उसे तन्हा नहीं करते।