Two Line Shayari, Agar Bikne Pe Aa Jao
Read Best Two Line Shayari in Hindi
Agar Bikne Pe Aa Jao Toh Ghat Jate Hain Daam Aksar,
Na Bikne Ka Iraada Ho Toh Keemat Aur Barhti Hai.
अगर बिकने पे आ जाओ तो घट जाते हैं दाम अक्सर,
न बिकने का इरादा हो तो क़ीमत और बढ़ती है।
Hua Savera Toh Hum Unke Naam Tak Bhool Gaye,
Jo Bujh Gaye Raat Mein Charagon Ki Lau Barhate Huye.
हुआ सवेरा तो हम उनके नाम तक भूल गए
जो बुझ गए रात में चरागों की लौ बढ़ाते हुए।
Daud Mein Daulat Ki Tumhein Jo Bhi Mukaam Mil Jaye,
Naam Badal Dena Mera Jo Itminaan Mil Jaye.
दौड़ में दौलत की तुम्हें जो भी मुक़ाम मिल जाये,
नाम बदल देना मेरा जो इत्मिनान मिल जाये।
Aayina Dekha Jab Toh Khud Ko Tasalli Hui,
KhudGarzi Ke Zamane Mein Bhi Koi Toh Janta Hai Humein.
आइना देखा जब तो खुद को तसल्ली हुई,
खुदगर्जी के ज़माने में भी कोई तो जानता है हमें।
Kisi Ki Neend Aati Hai Magar Khwabon Se Nafrat Hai,
Kisi Ko Khwab Pyare Hain Magar Woh So Nahi Paata.
किसी को नींद आती है मगर ख्वाबों से नफरत है,
किसी को ख्वाब प्यारे हैं मगर वो सो नहीं पाता।