Lafz, Alfaz, Kagaz Aur Kitab,
Kahan Kahan Nahi Rakhta Main Teri Yaado Ka Hisaab.
लफ्ज़, अल्फाज़, कागज़ और किताब,
कहाँ कहाँ नहीं रखता मैं तेरी यादों का हिसाब।
Na Kar Zid Apni Had Me Rah Ai Dil,
Wo Bade Log Hain Marzi Se Yaad Karte Hain.
ना कर जिद अपनी हद मे रह ए दिल,
वो बड़े लोग है मर्जी से याद करते है।
Mayoosi, Bechaini, Tanhai, Khamoshi,
Tumhare Yaad Ke Sang Ek Kaarwaan Kyun Hai.
मायूसी, बेचैनी, तन्हाई, ख़ामोशी,
तुम्हारे याद के संग एक कारवाँ क्यूँ है।
Jeene Ki Kuchh Toh Wajah Honi Chahiye,
Vaade Na Sahi Yaadein Toh Honi Chahiye.
जीने की कुछ तो वजह होनी चाहिए,
वादे ना सही.. यादें तो होनी चाहिए।
Bada Ajeeb Sa Zeher Tha Uski Yaad Mein,
Poori Umr Gujar Gayi Marte-Marte.
बड़ा अजीब सा ज़हर था उसकी याद में,
पूरी उम्र गुजर गई मरते-मरते।
Gujar Gayi Hai Magar Roj Yaad Aati Hai,
Woh Ek Shaam Jise Bhulne Ki Hasrat Hai.
गुजर गई है मगर रोज याद आती है,
वो एक शाम जिसे भूलने की हसरत है।
Mashroof Zindagi Mein Teri Yaad Ke Siwa,
Aata Nahi Hai Koi Mera Haal Puchhne.
मसरूफ़ जिंदगी में तेरी याद के सिवा,
आता नहीं है कोई मेरा हाल पूछने।
Missing You Shayari, Yaad Karta Hoon Main
Yaad Shayari, Teri Yaadon Ka Jhonka