बस खुद्दारी ही मेरी दौलत है,
जो मेरी हस्ती में रहती है,
बाकी जिंदगी तो फकीरी है,
वो अपनी मस्ती में रहती है।
Bas Khuddari Hi Meri Daulat Hai,
Jo Meri Hasti Mein Rehti Hai,
Baaki Jindagi To Fakeeri Hai,
Wo Apni Masti Mein Rehti Hai.
राख बेशक हूँ मगर,
मुझ में हरकत है अभी भी,
जिस को जलने की तमन्ना हो,
वो हवा दे कर देख ले मुझे।
Raakh Beshak Hoon Magar,
Mujh Mein Harkat Hai Abhi Bhi,
Jis Ko Jalne Ki Tamanna Ho,
Wo Hawa De Kar Dekh Le Mujhe.


