Gham Shayari, Apna Gham Bulate Hain

Hindi Gham Shayari in Two Lines

Advertisement

Gham Shayari, Apna Gham Bulate Hain

Tu Naraaj Na Raha Kar Tujhe Wasta Hai Khuda Ka,
Ek Tera Chehra Dekh Hum Apna Gham Bhulate Hain.
तू नाराज न रहा कर तुझे वास्ता है खुदा का,
एक तेरा चेहरा देख हम अपना गम भुलाते है।

Tere Haath Se Mere Haath Tak Ka Jo Fasla Tha,
Use Naapte Use KaatTe Meri Saari Umr Gujar Gayi.
तेरे हाथ से मेरे हाथ तक का जो फासला था,
उसे नापते उसे काटते मेरी सारी उमर गुजर गयी।

Advertisement

Sulagti Zindagi Se Maut Aa Jaye Toh Behtar Hai,
Hum Se Dil Ke Armaano Ka Ab Maatam Nahi Hota.
सुलगती ज़िन्दगी से मौत आ जाए तो बेहतर है,
हमसे दिल के अरमानों का अब मातम नहीं होता।

Tumhein Paa Lete Toh Kissa Kab Ka Khatm Ho Jata,
Tumhein Khoya Hai Toh Yakeenan Kahani Lambi Chalegi.
तुम्हें पा लेते तो किस्सा कब का खत्म हो जाता,
तुम्हें खोया है तो यकीनन कहानी लम्बी चलेगी।

Ghutan Si Hone Lagi Hai Ishq Jataate Hue,
Main Khud Se Ruthh Gaya Hun Tumhein Manate Hue.
घुटन सी होने लगी है इश्क़ जताते हुए,
मैं खुद से रूठ गया हूँ तुम्हें मनाते हुए।

Advertisement

Gham Shayari, Tere Ishq Ka Gham

Hindi Gham Shayari, Gham Ki Zulmat

Comments