Gham Nahi Yeh Ke Qasam Apni Bhulai Tumne,
Gam To Yeh Hai Ke Raqeebon Se Nibhai Tumne,
Koi Ranjish Thi Agar TumKo Toh MujhSe Kehte,
Baat Aapas Ki Thi Kyun Sab Ko Batai Tumne.
ग़म नहीं ये कि क़सम अपनी भुलाई तुमने,
ग़म तो ये है कि रकीबों से निभाई तुमने,
कोई रंजिश थी अगर तुमको तो मुझसे कहते,
बात आपस की थी क्यूँ सब को बताई तुमने।
Khyaal Mein Aata Hai Jab Bhi Uska Chehra,
Toh Labon Pe Aksar Fariyaad Hoti Hai,
Bhool Jata Hoon Saare Dard-o-Sitam Uske,
Jab Uski Thodi Si Mohabbat Yaad Aati Hai.
ख्याल में आता है जब भी उसका चेहरा,
तो लबों पे अक्सर फरियाद आती है,
भूल जाता हूँ सारे दर्द-ओ-सितम उसके,
जब उसकी थोड़ी सी मोहब्बत याद आती है।
Kuchh Mohabbat Ko Na Tha Chain Se Rakhna Manjoor,
Aur Kuchh Unn Ki Inayat Ne Jeene Na Diya,
Haadsa Hai Ke Tere Sar Par ilzaam Aaya,
Wakya Hai Ke Tere Gham Ne Mujhe Jeene Na Diya.
कुछ मोहब्बत को न था चैन से रखना मंजूर,
और कुछ उन की इनायत ने जीने न दिया,
हादसा है कि तेरे सर पर इल्ज़ाम आया,
वाकया है कि तेरे ग़म ने मुझे जीने न दिया।
Gham Shayari, Mere Gham Ki Kahani
Gam Shayari, Kaho Kis Baat Ka Gam Hai