Tootne Ka Kis Ko Gham Nahi Hota
New Hindi Gham Shayari with Sad Sentiments
Maslhat Ke Dhaagon Ne Honthh See Diye Mere,
Varna Apne Tootne Ka Kis Ko Gham Nahi Hota.
मस्लहत के धागों ने होंठ सी दिए मेरे,
वर्ना अपने टूटने का किस को ग़म नहीं होता।

Patthar Ke Jigar Walo Gham Mein Wo Ravani Hai,
Khud Raah Bana Lega Behta Hua Paani Hai.
पत्थर के जिगर वालो ग़म में वो रवानी है,
खुद राह बना लेगा बहता हुआ पानी है।
Maine Saha Hai Gale Mil Kar Bichhadne Ka Gam,
Ai Mere Khuda Kisi Ko Aisa Gham Na Dena.
मैंने सहा है गले मिल कर बिछड़ने का ग़म,
ऐ मेरे खुदा किसी को ऐसा ग़म न देना।
De Gaya Gham Mujhe Tohfe Mein Mila Wo Jab Bhi,
Maine Ek Shakhs Ko Kyun Kar Bhala Samjha Apna.
दे गया ग़म मुझे तोहफे में मिला वो जब भी,
मैंने एक शख्स को क्यूँ कर भला समझा अपना।
Na Tadapne Ki Ijazat Hai Na Fariyad Ki Hai,
Ghutt Ke Mar Jaaon Ye Marzi Mere Sayyad Ki Hai.
न तड़पने की इजाज़त है न फरियाद की है,
घुट के मर जाऊं ये मर्ज़ी मेरे सय्याद की है।