तेरी एक खुशी की खातिर मैंने कितने गम छुपाये,
अगर मैं एक बार रोता तो तेरा शहर डूब जाता।
Teri Ek Khushi Ki Khaatir Main Ne Kitne Gham Chhupaaye,
Agar Main Ek Baar Rota To Tera Shahar Doob Jaata.
गमों को आबरू अपनी खुशी को ग़म समझते हैं,
जिन्हें कोई नहीं समझा उन्हें बस हम समझते हैं।
Ghamon Ko Aabroo Apani Khushi Ko Gham Samajhte Hain,
Jinhein Koi Nahin Samjha Unhein Bas Hum Samajhte Hain.
फलक देता है जिनको ऐश उनको गम भी होते हैं,
जहाँ बजते हैं नक्कारे, वहाँ मातम भी होते हैं।
Falak Deta Hai Jinko Aish Unko Gham Bhi Hote Hain,
Jahaan Bajte Hain Nakkaare, Wahan Maatam Bhi Hote Hain.
~ Daagh Dehlvi
हाल-ए-दिल ना-गुफ्तनी है हम जो कहते भी तो क्या,
फिर भी ग़म ये है कि उस ने हम से पूछा ही नहीं।
Haal-e-Dil Na-Guftani Hain Hum Jo Kehte Bhi To Kya,
Fir Bhi Gham Ye Hai Ki Uss Ne Hum Se Poochha Hee Nahin.
~ Saleem Ahmed
Kahan Se Humaare Gham Aate Hain