Gham Shayari, Tere Ishq Ka Gham
Simple and Heart Touching Shayari about Sorrow of Love

TujhKo Pakar Bhi Na Kam Ho Saki Betabi Dil Ki,
Itna Aasaan Tere Ishq Ka Gham Tha Bhi Nahi.
तुझको पा कर भी न कम हो सकी बेताबी दिल की,
इतना आसान तेरे इश्क़ का ग़म था ही नहीं।
Raha Yoon Hi NaMukammal Gham-e-Ishq Ka Fasana,
Kabhi Mujhko Neend Aayi Kabhi So Gaya Zamana.
रहा यूँ ही नामुकम्मल ग़म-ए-इश्क का फसाना,
कभी मुझको नींद आई कभी सो गया ज़माना।
Yeh Ruke Ruke Se Aansoo Yeh Dabi Dabi Si Aahein,
Yun Hi Kab Talak Khudaya Gham-e-Zindgi Nibaahein.
ये रुके रुके से आँसू ये दबी दबी सी आहें,
यूँ ही कब तलक खुदाया गमे-ज़िंदगी निबाहें।
Gham Kis Ko Nahi Tujhko Bhi Hai MujhKo Bhi Hai,
Chahat Kisi Ek Ki TujhKo Bhi Hai MujhKo Bhi Hai.
ग़म किस को नहीं तुझको भी है मुझको भी है,
चाहत किसी एक की तुझको भी है मुझको भी है।
Iss Se BarhKar Dost Koi Doosra Hota Nahi,
Sab Juda Ho Jayein Lekin Gham Juda Hota Nahi.
इस से बढ़कर दोस्त कोई दूसरा होता नहीं,
सब जुदा हो जायें लेकिन ग़म जुदा होता नहीं।