Meri Maut Par Bhi Uski Aankhon Mein Aansoo Na The,
Usey Shak Tha Ki Mujh Mein Ab Bhi Jaan Baki Hai.
मेरी मौत पर भी उसकी आँखों में आँसू न थे,
उसे शक था कि मुझ में अब भी जान बाकी है।

Chal Saath Ki Hasarat Dil-e-Mehroom Se Nikle,
Aashiq Ka Janaza Hai Jara Dhoom Se Nikle.
चल साथ कि हसरत दिल-ए-महरूम से निकले,
आशिक का जनाजा है जरा धूम से निकले।
Ai Maut Aa Kar Humko Khamosh To Kar Gayi Tu,
Magar Sadiyon Dilon Ke Andar Hum Goonjte Rahenge.
ऐ मौत आ कर हमको खामोश तो कर गई तू,
मगर सदियों दिलों के अंदर हम गूंजते रहेंगे।

