Sad Shayari, Mohabbat Jo Main Na De Saka
Two Lines Sad Shayari for Lover
Meri Ladkhadahat Tum Mujh Tak Hi Rahne Do,
Jo Baat Hosh Ki Kar Di To Behosh Ho Jaaoge.
मेरी लड़खड़ाहट तुम, मुझ तक ही रहने दो,
जो बात होश की कर दी, तो बेहोश हो जाओगे।
Main Qabil-e-Nafrat Hu To Chhod Do Mujhko,
Yu Mujhse Dikhaave Ki Mohabbat Na Kiya Karo.
मैं क़ाबिल-ए-नफ़रत हूँ तो छोड़ दो मुझको,
यूं मुझसे दिखावे की मोहब्बत ना किया करो।
Kabhi Jo Mile Fursat To Batana Zaroor,
Wo Kaun Si Mohabbat Thi Jo Main Na De Saka.
कभी जो मिलें फुरसत तो बताना जरूर,
वो कौन सी मौहब्बत थी जो मैं ना दे सका।
Tune Faisle Hi Faasle Badane Wale Kiye The,
Varna Koyi Nahi Tha Tujhse Zyada Qareeb Mere.
तूने फैसले ही फासले, बढाने वाले किये थे,
वरना कोई नहीं था, तुझसे ज्यादा करीब मेरे।
Naam Uska Jubaan Par Aate Aate Ruk Jata Hai,
Jab Koi Mujhse Meri Aakhiri Khwahish Puchhta Hai.
नाम उसका ज़ुबान पर आते आते रुक जाता है,
जब कोई मुझसे मेरी आखिरी ख्वाहिश पूछता है।