Sad Shayari, Mohabbat Ke Zakhm
Shayari in Two Lines about Pain of Love
Mujhe Yakeen Hai Mohabbat Uss Ko Kehte Hain,
Ki Zakhm Taza Rahe Aur Nishan Chala Jaye.
मुझे यकीन है मोहब्बत उसी को कहते हैं,
कि जख्म ताज़ा रहे और निशान चला जाये।

Mohabbat Ki Misaal Mein, Bas Itna Hi Kahunga,
Bemisal Saja Hai Kisi Be-Gunaah Ke Liye.
मोहब्बत की मिसाल में, बस इतना ही कहूँगा।
बेमिसाल सज़ा है, किसी बेगुनाह के लिए।
Ishq Mohabbat Ki Baatein Koi Na Karna,
Ek Shakhs Ne Jee Bhar Ke Humein Rulaya Jo Hai.
इश्क मोहब्बत की बातें कोई न करना,
एक शख्स ने जी भर के हमें रुलाया जो है।
Mohabbat Aur Nafrat Sab Mil Chuke Hain Mujhe,
Main Ab Takreeban Muqammal Ho Chuka Hoon.
मोहब्बत और नफरत सब मिल चुके हैं मुझे,
मैं अब तकरीबन मुकम्मल हो चुका हूँ।
Humare Bagair Bhi Aabaad Thi Unki Har Mehfil,
Aur Hum Samjhate The Ke Unki Raunakein Humse Hain.
हमारे बगैर भी आबाद थी उनकी हर महफिल,
और हम समझते थे कि उनकी रौनकें हमसे है।
Tumko Naraaj Hi Rehna Hai Toh Koyi Baat Karo,
ChupChap Rehne Se Mohabbat Ka Gumaan Hota Hai.
तुमको नाराज ही रहना है तो कोई बात करो,
चुपचाप रहने से मोहब्बत का गुमान होता है।