Karna Hi Tanz Hai Toh Hansne Ka Kya Takalluf,
Kyun Zeher De Rahe Ho Mohabbat Mila Mila Kar.
करना ही तंज़ है तो हँसने का क्या तकल्लुफ,
क्यूँ ज़हर दे रहे हो मोहब्बत मिला मिला कर।
Bichhad Ke Uss Se Pareshan Bahut Hoon Main,
Suna Hai Woh Bhi Badi Uljhano Mein Rehte Hain.
बिछड़ के उस से परेशान बहुत हूँ मैं,
सुना है वो भी बड़ी उलझनों में रहता है।
Main Bikhar Jaunga Zanjeer Ki Kadiyon Ki Tarah,
Aur Reh Jayegi Iss Dasht Mein Jhankar Meri.
मैं बिखर जाऊंगा ज़ंजीर की कड़ियों की तरह,
और रह जाएगी इस दश्त में झंकार मेरी।
Yeh Inaaytein Gajab Ki Yeh Balaa Ki Meharbani,
Meri Khairiyat Bhi Puchhi Kisi Aur Ki Jubani.
यह इनाएतें गज़ब की यह बला की मेहरबानी,
मेरी खैरियत भी पूछी किसी और की जुबानी।
Gair Mumkin Hai Tere Ghar Ke Gulabon Mein Shumar,
Mere Risate Huye Zakhmo Ke Hisaabon Ki Tarah.
ग़ैर मुमकिन है तेरे घर के गुलाबों का शुमार,
मेरे रिसते हुए ज़ख़्मों के हिसाबों की तरह।
Woh Meherbaan Hai Toh Ikraar Kyun Nahin Karta,
Woh BadGumaan Hai Toh Sau Baar Aazmaye Mujhe.
वो मेहरबान है तो इकरार क्यूँ नहीं करता,
वो बदगुमाँ है तो सौ बार आजमाये मुझे।
Chehron Mein Dusron Ke Tujhe Dhundhte Rahe,
Kahin Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahin Mili.
चेहरों में दूसरों के तुझे ढूंढ़ते रहे,
कहीं सूरत नहीं मिली कहीं सीरत नहीं मिली।
Sad Shayari, Wohi Shakhs Humara Nahi
Sad Shayari, Yaar Ne Inayat Nahi Ki