Sad Shayari, Tazurba Mohabbat Ka
Hindi Shayari on Incomplete Love for Very Sad Mood
Advertisement
Tazurba Kehta Hai,
Mohabbat Se Kianara Kar Lu,
Aur Dil Kahta Hai,
Yeh Tazurba Dobara Kar Lu.
तजुर्बा कहता है,
मोहब्बत से किनारा कर लूँ,
और दिल कहता है,
ये तज़ुर्बा दोबारा कर लूँ।
Advertisement
Asal Mohabbat Toh Woh,
Pahli Hi Mohabbat Thi,
Iske Baad To Har Shakhs Mein,
Sirf Usi Ko Dhoondha Hai.
असल मोहब्बत तो वो,
पहली ही मोहब्बत थी,
इसके बाद तो हर शख्स में,
सिर्फ उसी को ढूँढा है।
Raat Ki Tanhaai Mein Aksar
Yeh Sochta Rehta Hoon,
Mohabbat Dua Hai, Saza Hai,
Jaza Hai, Ya Ek Gunaah Hai.
रात की तन्हाई में अक्सर
ये सोचता रहता हूँ,
मोहब्बत दुआ है, सज़ा है,
जजा है, या एक गुनाह है।