Maine Usko Itna Dekha,
Jitna Dekha Ja Sakta Tha,
Lekin Fir Bhi Do Aankhon Se
Kitna Dekha Ja Sakta Tha.
मैंने उसको इतना देखा,
जितना देखा जा सकता था,
लेकिन फिर भी दो आँखों से
कितना देखा जा सकता था।

Abhi Aankhon Mein Dekha To Jaahir Hua
Ki Bahut Naadaaniyaan Hain,
Ye Chehara Ye Zulfein Ye To Bas
Qayaamat Ki Nishaaniyaan Hain.
आँखों में देखा तो जाहिर हुआ
कि अभी बहुत नादानियाँ है,
ये तुम्हारा चेहरा ये जुल्फें ये तो बस
कयामत की निशानियाँ है।

