Shayari on Eyes

Advertisement

Aankhein Shayari, Milayenge Najar Kis Se

Nice Shayari on Eyes of Poet Bahadur Shah Zafar

Aankhein Shayari, Milayenge Najar Kis Se

Milayenge Najar Kis Se
Ke Wah BeDeed Hain Aise,
Nahi Aayina Mein Aankhein
Milaate Apni Aankho Se,
Jo Wah Aankhon Mein Aaya
Kaun Usko Dekh Sakta Tha,
Kasam Aankhon Ki Hum Usko
Chhupate Apni Aankhon Se,
Zafar Giriya Humara
Kuchh Na Kuchh Taseer Rakhta Hai,
Unhein Hum Dekhte Hain
Muskurate Apni Aankhon Se.

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Aankhein Shayari, Tere Khwab Ka Laalach

Shayaris for Beautiful Eyes in Two Lines

Aankhein Shayari, Tere Khwab Ka Laalach

Raat Badi Mushkil Se Khud Ko Sulaya Hai Maine,
Apni Aankho Ko Tere Khwab Ka Laalach Dekar.
रात बड़ी मुश्किल से खुद को सुलाया है मैंने,
अपनी आँखों को तेरे ख्वाब का लालच देकर।

Khulte Hain Mujh Pe Raaz Kayi Iss Jahan Ke,
UsKi Haseen Aankhon Mein Jab Jhankta Hoon Main.
खुलते हैं मुझ पे राज कई इस जहान के,
उसकी हसीन आँखों में जब झाँकता हूँ मैं।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Aankho Mein Jhankne Se Pehle

Hindi Poetry on Beautiful Eyes of Girlfriend

Meri Aankho Mein Jhankne Se Pehle,
Jara Soch Lijiye Aye Huzoor...
Jo Humne Palke Jhuka Li Toh Qayamat Hogi,
Aur Humne Nazrein Mila Li Toh Mohabbat Hogi.
मेरी आँखों में झाँकने से पहले,
जरा सोच लीजिये ऐ हुजूर...
जो हमने पलके झुका ली तो कयामत होगी,
और हमने नजरें मिला ली तो मुहब्बत होगी।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Nigahein Shayari Collection

निगाह पर दो लाईन हिंदी शायरी

Phir Na Keeje Meri Gustakh Nigahon Se Gila,
Dekhiye Aapne Phir Pyar Se Dekha Mujhko.
फिर न कीजे मेरी गुस्ताख निगाहों का गिला,
देखिये आपने फिर प्यार से देखा मुझको।

Nigahein Shayari Collection

Sau Sau Ummidein Bandhti Hain, Ik Ik Nigah Par,
Mujhko Na Aise Pyar Se Dekha Kare Koyi.
सौ सौ उम्मीदें बंधती है, इक-इक निगाह पर,
मुझको न ऐसे प्यार से देखा करे कोई।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Najar Shayari Collection

नजर पर दो लाईन शायरी

Main Umra Bhar Jinka Na De Saka Jawab,
Woh Ek Najar Mein Itne Sawalat Kar Gaye.
मैं उम्र भर जिनका न कोई दे सका जवाब,
वह इक नजर में, इतने सवालात कर गये।

Najar Shayari Collection

Bas Ek Lateef Tabassum Bas Ek Haseen Najar,
Mareej-e-Gam Ki Halat Sudhar To Sakti Hai.
बस इक लतीफ तबस्सुम बस इक हसीन नजर,
मरीजे-गम की हालत सुधर तो सकती है।

[ Read More Shayaris ]