Bewafai Shayari in Hindi, Tujhe Bewafa Na Kah Saka
Shayari in Hindi Font for Faithless Lover
Kaisi Ajeeb Tujhse Yeh Judai Thi,
Ki Tujhe Alvida Bhi Na Keh Saka,
Teri Saadgi Mein Itna Fareb Tha,
Ki Tujhe Bewafa Bhi Na Keh Saka.
कैसी अजीब तुझसे यह जुदाई थी,
कि तुझे अलविदा भी ना कह सका,
तेरी सादगी में इतना फरेब था,
कि तुझे बेवफा भी ना कह सका।

Wafa Ke Naam Se Mere Sanam Anjaan The,
Kisi Ki Bewafai Se Shayad Pareshan The,
Humne Wafa Deni Chahi Toh Pata Chala,
Hum Khud Bewafa Ke Naam Se Badnaam The.
वफ़ा के नाम से मेरे सनम अनजान थे,
किसी की बेवफाई से शायद परेशान थे,
हमने वफ़ा देनी चाही तो पता चला...
हम खुद बेवफा के नाम से बदनाम थे।
Insaan Ke Kandho Par Insaan Ja Raha Tha,
Kafan Mein Lipata Hua Armaan Ja Raha Tha,
Jise Bhi Mili Bewafai Mohabbat Mein,
Wafa Ki Talash Mein Shamshaan Ja Raha Tha.
इंसान के कंधों पर इंसान जा रहा था,
कफ़न में लिपटा अरमान जा रहा था,
जिसे भी मिली बेवफ़ाई मोहब्बत में,
वफ़ा की तलाश में श्मशान जा रहा था।