Gham Shayari, Mere Gham Ki Kahani

Sad Gham Shayari Two Line in Hindi and English

Advertisement

Gham Shayari, Mere Gham Ki Kahani

Chaha Tha Muqammal Ho Mere Gham Ki Kahani,
Main Likh Na Saka Kuchh Bhi Tere Naam Se Aage.
चाहा था मुक्कमल हो मेरे ग़म की कहानी,
मैं लिख ना सका कुछ भी तेरे नाम से आगे।

Parchhayion Ke Shahar Ki Tanhayian Na Puchh,
Apna Shareeq-e-Gham Koyi Apne Siwa Na Tha.
परछाइयों के शहर की तन्हाईयाँ ना पूछ,
अपना शरीक-ए-ग़म कोई अपने सिवा ना था।

Advertisement

Kab Tak Piyein Yeh Zeher-Gham Ai Saakiye-Hayat,
Ghabra Gaye Hain Ab Teri Dariya-Dili Se Hum.
कब तक पियें यह ज़हर-ए-ग़म ऐ साकिए-हयात,
घबरा गये हैं अब तेरी दरियादिली से हम।

Yakeen Na Aaye Toh Ek Baar Poochh Kar Dekh Lo,
Jo Hans Raha Hai Wo Ghamon Se Choor Niklega.
यकीन न आये तो एक बार पूछ कर देखो,
जो हँस रहा है वो ग़मों से चूर निकलेगा।

Jaanta Hoon Ek Aise Shakhs Ko Main Bhi Munir,
Gham Se Patthar Ho Gaya Lekin Kabhi Roya Nahin.
जानता हूँ ऐसे शख्स को मैं भी मुनीर,
ग़म से पत्थर हो गया लेकिन कभी रोया नहीं।
(Munir Niazi)

Neend Aankhon Mein Pirone Ki Ijazat De De,
Ai Shab-e-Gham Ab Humein Sone Ki Ijazat De De.
नींद आँखों में पिरोने की इजाज़त दे दे,
ऐ शब-ए-ग़म अब हमें सोने की इजाज़त दे दे।

Advertisement

Gham Shayari, Gham Ka Karz

Gam Shayari, Qasam Apni Bhulai Tumne

Comments