Gham Shayari, Uska Diya Hua Gham

Gham Bhari Shayari in Hindi

Advertisement

देख कर उसको अक्सर हमें एहसास होता है,
कभी कभी ग़म देने वाला भी बहुत खास होता है,
ये और बात है वो हर पल नहीं होता पास हमारे,
मगर उसका दिया ग़म अक्सर हमारे पास होता है।

Dekh Kar Usko Aksar Humein Ehsaas Hota Hai,
Kabhi Kabhi Gham Dene Wala Bahut Khaas Hota Hai,
Yeh Aur Baat Hai Woh Har Pal Nahi Hota Paas Humare,
Magar Uska Diya Gham Aksar Humare Paas Hota Hai.

शिकायत क्या करूँ दोनों तरफ ग़म का फसाना है,
मेरे आगे मोहब्बत है तेरे आगे ज़माना है,
पुकारा है तुझे मंजिल ने लेकिन मैं कहाँ जाऊं,
बिछड़ कर तेरी दुनिया से कहाँ मेरा ठिकाना है।

Shikayat Kya Karun Dono Taraf Gham Ka Fasana Hai,
Mere Aage Mohabbat Hai Tere Aage Zamana Hai,
Pukara Hai Tujhe Manzil Ne Lekin Main Kahan Jaun,
Bichhad Kar Teri Duniya Se Kahan Mera Thhikana Hai.

Advertisement

कुछ लुटकर कुछ लुटाकर लौट आया हूँ,
वफ़ा की उम्मीद में धोखा खाकर लौट आया हूँ,
अब तुम याद भी आओगे फिर भी न पाओगे,
हँसते लबों से सारे ग़म छुपाकर लौट आया हूँ।

Kuchh LutKar Kuchh LutaKar Laut Aaya Hoon,
Wafa Ki Umeed Mein Dhokha Khakar Laut Aaya Hoon,
Ab Tum Yaad Bhi Aaoge Fir Bhi Na Paaoge,
Hanste Labon Se Saare Gham ChhupaKar Laut Aaya Hoon.

तेरी दुनिया में जीने से तो बेहतर हैं कि मर जायें,
वही आँसू, वही आहें, वही ग़म है जिधर जायें,
कोई तो ऐसा घर होता जहाँ से प्यार मिल जाता,
वही बेगाने चेहरे हैं जहाँ जायें जिधर जायें।

Teri Duniya Mein Jeene Se Toh Behtar Hai Ke Mar Jayein,
Wahi Aansoo, Wahi Aahein, Wahi Gham Hai Jidhar Jayein,
Koi Toh Aisa Ghar Hota Jahan Se Pyar Mil Jata,
Wahi Begaane Chehare Hain Jahan Jayein Jidhar Jayein.

Advertisement

Gham Shayari, Tera Gham Salamat

Gham Shayari, Lekin Jiyega Kaun

Comments