Intezar Shayari, Aap Aate Hi Rahe

Hindi Couplets on Endless Wait of Lover

Advertisement

Jaan Dene Ko Kaha Maine Toh HansKar Bole,
Tum Salamat Raho Har Roj Ke Marne Wale,
Aakhiri Waqt Bhi Pura Na Kiya Vada-e-Wasl,
Aap Aate Hi Rahe Mar Gaye Marne Wale.
जान देने का कहा मैंने तो हँसकर बोले,
तुम सलामत रहो हर रोज के मरने वाले,
आखिरी वक़्त भी पूरा न किया वादा-ए-वस्ल,
आप आते ही रहे मर गये मरने वाले।

Intezar Shayari, Aap Aate Hi Rahe

Advertisement

Jhonka Idhar Na Aaye Naseem-e-Bahar Ka,
Nazuk Bahut Hai Phool Chiragh-e-Mazaar Ka,
Phir Baithe Baithe Waada-e-Wasl Usne Kar Liya,
Phir Uthh Khada Hua Wahi Rog Intezar Ka.
झोंका इधर से न आये नसीम-ए-बहार का,
नाज़ुक बहुत है फूल चराग-ए-मज़ार का,
फिर बैठे बैठे वादा-ए-वस्ल उसने कर दिया,
फिर उठ खड़ा हुआ वही रोग इंतज़ार का।
(Amir Meenai)

Tere Intezar Mein Kab Se Udaas Baithhe Hain,
Tere Deedar Mein Aankhein Bichhaye Baithhe Hain,
Tu Ek Najar Hum Ko Dekh Le Bas,
Iss Aas Mein Kab Se BeKaraar Baithhe Hain.
तेरे इंतजार में कब से उदास बैठे हैं,
तेरे दीदार में आँखे बिछाये बैठे हैं,
तू एक नजर हम को देख ले बस,
इस आस में कब से बेकरार बैठे हैं।

Advertisement

Intezaar Shayari, Kab Laut Ke Aate Hain

Intezaar Shayari, Intezar Uska Hai

Comments