Aankhein Rahengi Shaam-o-Sehar Muntazir Teri,
Aankhon Ko Saunp Denge Tera Intezaar Hum.
आँखें रहेंगीं शाम-ओ-शहर मुन्तज़िर तेरी,
आँखों को सौंप देंगे तेरा इंतज़ार हम।
Ab Inn Haddon Mein Laya Hai Intezar Mujhe,
Wo Aa Bhi Jayein Toh Aaye Na Aitabar Mujhe.
अब इन हदों में लाया है इंतज़ार मुझे,
वो आ भी जायें तो आये न ऐतबार मुझे।
Iss Shehar-e-Be-Charag Mein Jayegi Tu Kahan,
Aa Ai Shab-e-Firaq Tujhe Ghar Hi Le Chalein.
इस शहर-ए-बे-चराग में जाएगी तू कहाँ,
आ ऐ शब-ए-फिराक़ तुझे घर ही लें चलें।
Yakeen Hai Ki Na Aayega Mujhse Milne Koyi,
Toh Phir Yeh Dil Ko Mere Intezar Kiska Hai.
यकीन है कि न आएगा मुझसे मिलने कोई,
तो फिर ये दिल को मेरे इंतज़ार किसका है।
Kabhi Kisi Ka Jo Hota Tha Intezar Humein,
Bada Hi Shaam-o-Sahar Ka Hisaab Rakhte The.
कभी किसी का जो होता था इंतज़ार हमें,
बड़ा ही शाम-ओ-सहर का हिसाब रखते थे।
Intezaar Shayari, Intezaar Ka Hunar
Intezaar Shayari, Intezar Nahi Marta