Intezaar Shayari, Kab Laut Ke Aate Hain
Shayari Sms in Two Line on Intezaar
Bas Yun Hi Umeed Dilate Hain Zamane Wale,
Kab Laut Ke Aate Hain Chhod Kar Jaane Wale.
बस यूँ ही उम्मीद दिलाते हैं ज़माने वाले,
कब लौट के आते हैं छोड़ कर जाने वाले।

Dil Jalao Ya Diye Aankhon Ke Darwaze Par,
Waqt Se Pehle Toh Aate Nahi Aane Wale.
दिल जलाओ या दिए आँखों के दरवाज़े पर,
वक़्त से पहले तो आते नहीं आने वाले।
Tamaam Umr Tera Intezaar Kar Lenge,
Magar Yeh Ranj Rahega Ke Zindgi Kam Hai.
तमाम उम्र तेरा इंतज़ार कर लेंगे,
मगर ये रंज रहेगा कि ज़िंदगी कम है।
Usey Bhula De Magar Intezar Baqi Rakh,
Hisaab Saaf Na Kar Kuchh Hisaab Baqi Rakh.
उसे भुला दे मगर इंतज़ार बाकी रख,
हिसाब साफ न कर कुछ हिसाब बाकी रख।
Yeh Intezaar Na Thhehra Koi Bala Thhehri,
Kisi Ki Jaan Gayi Aapki Adaa Thhehri.
ये इंतज़ार न ठहरा कोई बला ठहरी,
किसी की जान गई आपकी अदा ठहरी।
Ye Aankhein Kuchh Talaashti Rahti Hain,
Koi Toh Hai Jis Ka Inhein Intezaar Hai.
ये आँखे कुछ तलाशती रहती हैं,
कोई तो है जिस का इन्हें इंतजार है।