Hindi Intezaar Shayari, Tere Intezaar Mein
Shayari Status about Waiting (Intezaar)
Advertisement

Ai Maut Unhein Bhulaye Huye Zamane Gujar Gaye,
Aa Ja Ke Zeher Khaye Huye Zamane Gujar Gaye,
O Jaane Wale Aa Ke Tere Intezaar Mein,
Raste Ko Ghar Banaye Zamane Gujar Gaye.
ऐ मौत उन्हें भुलाए ज़माने गुजर गए,
आ जा कि ज़हर खाए ज़माने गुजर गए,
ओ जाने वाले आ कि तेरे इंतजार में,
रास्ते को घर बनाए ज़माने गुजर गए।
Advertisement
Rahega Ishq Tera Khaak Mein Mila Ke Mujhe,
Ke Ibtidaa Mein Hue Ranj Intihaa Ke Mujhe,
Diye Hain Hijr Mein Dukh Dard Kis Balaa Ke Mujhe,
Shab-e-Firaaq Ne Mara Litaa-Litaa Ke Mujhe.
रहेगा इश्क़ तेरा ख़ाक में मिला के मुझे,
कि इब्तिदा में हुए रंज इन्तेहाँ के मुझे,
दिए हैं हिज्र में दुःख-दर्द बला के मुझे,
शब-ए-फिराक़ ने मारा है लिटा-लिटा के मुझे।