Palkon Par Ruka Hai Samandar Khumaar Ka,
Kitna Ajab Nasha Hai Tere Intezaar Ka.
पलकों पर रूका है समन्दर खुमार का,
कितना अजब नशा है तेरे इंतजार का।
Milne Se Bhi Ajeez Hai Milne Ki Aarzoo,
Hai Vasl Se Bhi Jiyada Mazaa Intezaar Mein.
मिलने से भी अजीज है मिलने की आरजू,
है वस्ल से भी जियादा मजा इंतज़ार में।
Tamaam Umr Yun Hi Ho Gayi Basar Apni,
Shabe-Firak Gayi, Roje-Intezaar Aaya.
तमाम उम्र यूँ ही हो गयी बसर अपनी,
शबे-फिराक गयी, रोजे-इंतज़ार आया।
Ik Main Ke Intezaar Mein Ghadiyan Gina Karun,
Ik Tum Ke Mujhse Aankh Churakar Chale Gaye.
इक मैं कि इंतज़ार में घड़ियाँ गिना करूँ,
इक तुम कि मुझसे आँख चुराकर चले गये।
Ik Raat Wo Gaya Tha Jahan Baat Rok Ke,
Ab Tak Ruka Hua Hoon Wahin Raat Rok Ke.
इक रात वो गया था जहाँ बात रोक के,
अब तक रुका हुआ हूँ वहीं रात रोक के।
Intezaar Shayari, Ajnabi Ka Intezaar
Intezaar Shayari, Main Raah Dekhta Raha