Aankhon Ke Intezaar Ka De Kar Hunar Chala Gaya,
Chaha Tha Ek Shakhs Ko Jaane Kidhar Chala Gaya,
Din Ki Woh Mehfilein Gayin Raaton Ke RatJage Gaye,
Koi Samet Kar Mere Shaam-o-Sahar Chala Gaya.
आँखों के इंतज़ार का दे कर हुनर चला गया,
चाहा था एक शख़्स को जाने किधर चला गया,
दिन की वो महफिलें गईं रातों के रतजगे गए,
कोई समेट कर मेरे शाम-ओ-सहर चला गया।
Usi Tarah Se Har Ik Zakhm Khushnuma Dekhe,
Woh Aaye Toh Mujhe Ab Bhi Hara Bhara Dekhe,
Gujar Gaye Hain Bahut Din Rafaqat-e-Shab Mein,
Is Umr Ho Gayi Chehra Woh Chaand Sa Dekhe.
उसी तरह से हर इक ज़ख्म खुशनुमा देखे,
वो आये तो मुझे अब भी हरा-भरा देखे,
गुजर गए हैं बहुत दिन रफाकत-ए-शब में,
इक उम्र हो गई चेहरा वो चाँद-सा देखे।
Kuchh Baatein Karke Woh Humein Rula Ke Chale Gaye,
Hum Na Bhulenge Yeh Ehsaas Dila Ke Chale Gaye,
Aayenge Kab Wo Ab Toh Yeh Dekhna Hai Umr Bhar,
Bujh Rahi Hai Aag Jise Wo JalaKar Chale Gaye.
कुछ बातें करके वो हमें रुला के चले गए,
हम न भूलेंगे यह एहसास दिला के चले गए,
आयेंगे कब वो अब तो यह देखना है उम्र भर,
बुझ रही है आग जिसे वो जला कर चले गए।
Intezaar Shayari, Intezar Uska Hai
Intezaar Shayari, Thoda Intezaar Kar