Intezaar Shayari, Intzaar Uska Magar
Best Intezaar Shayari Status for Facebook and Whatsapp
Woh Na Aayega Humein Malum Tha Iss Shaam Bhi,
Intzaar Uska Magar Kuchh Soch Kar Karte Rahe.
वो न आएगा हमें मालूम था इस शाम भी,
इंतज़ार उस का मगर कुछ सोच कर करते रहे।

Aankho Ne Jarre-Jarre Par Sajde Lutaye Hain,
Kya Jaane Ja Chhupa Hai Mera PardaNashin Kahan.
आँखों ने जर्रे-जर्रे पर सजदे लुटाये हैं,
क्या जाने जा छुपा मेरा पर्दानशीं कहाँ।
Raqs-e-Sabaa Ke Jashn Mein Hum Tum Bhi Nachte,
Ai Kaash Tum Bhi Aa Gaye Hote Sabaa Ke Saath.
रक़्स-ए-सबा के जश्न में हम तुम भी नाचते,
ऐ काश तुम भी आ गए होते सबा के साथ।
Na Jane Kab Ka Pahunch Bhi Chuka Sar-e-Manzil,
Woh Shakhs Jis Ka Humein Intazar Raah Mein Hai.
न जाने कब का पहुँच भी चुका सर-ए-मंजिल,
वो शख्स जिस का हमें इंतज़ार राह में है।
Ulfat Ke Maaron Se Na Puchho Aalam Intezar Ka,
Patjhad Si Hai Zindagi Aur Khyal Hai Bahaar Ka.
उल्फ़त के मारों से ना पूछो आलम इंतज़ार का,
पतझड़ सी है ज़िन्दगी और ख्याल है बहार का।