Intezaar Shayari, Apna Hi Intezar Kiya
Great Couplets about Waiting of Lover
Aadatan Tumne Kar Diye Vaade,
Aadatan Humne Bhi Aitbar Kiya,
Teri Rahon Mein Har Baar Ruk Kar,
Humne Apna Hi Intezaar Kiya.
आदतन तुमने कर दिये वादे,
आदतन हमने भी ऐतबार किया,
तेरी राहों में हर बार रुककर,
हमने अपना ही इंतजार किया।

Jhuki Huyi Palkon Se Unka Deedar Kiya,
Sab Kuchh Bhula Ke Unka Intezaar Kiya,
Woh Jaan Hi Na Paaye Jazbaat Mere,
Jinhein Duniya Se Barhkar Maine Pyar Kiya.
झुकी हुई पलकों से उनका दीदार किया,
सब कुछ भुला के उनका इंतजार किया,
वो जान ही न पाए जज्बात मेरे,
जिन्हें दुनिया से बढ़कर मैंने प्यार किया।
Shabe-Intezar Ki KashmKash Mein
Na Puchh Kaise Sahar Huyi,
Kabhi Ek Chirag Jala Diya
Kabhi Ek Chirag Bujha Diya.
शबे-इंतज़ार की कशमकश में
न पूछ कैसे सहर हुई,
कभी एक चिराग जला दिया
कभी एक चिराग बुझा दिया।