Intezaar Shayari, Armaan Tujhse Milne Ke

Hindi Intezaar Shayari in Two Lines

Advertisement

Din Bhar Bhatakte Rahte Hain Armaan Tujhse Milne Ke,
Na Yeh Dil Thehrta Hai Na Tera Intezaar Rukta Hai.
दिन भर भटकते रहते हैं अरमान तुझसे मिलने के,
न ये दिल ठहरता है न तेरा इंतज़ार रुकता है।

Kin Lafzo Mein Likhu Main Apne Intezaar Ko Tumhein,
Bejubaan Hai Ishq Mera Dhhoondta Hai Khamoshi Se Tujhe.
किन लफ्जों में लिखूँ मैं अपने इंतज़ार को तुम्हें,
बेजुबां है इश्क़ मेरा ढूंढ़ता है खामोशी से तुझे।

Din Raat Ki Bechaini Hai, Yeh Aathh Pehar Ka Rona Hai,
Aasaar Bure Hain Furkat Mein, Maloon Nahi Kya Hona Hai.
दिन रात की बेचैनी है, ये आठ पहर का रोना है,
आसार बुरे हैं फुरकत में, मालूम नहीं क्या होना है।

Advertisement

Uthha Kar Choom Li Hain Chand Murjhayi Huyi Kaliyan,
Tum Na Aaye Toh Yoon Jashn-e-Bahaaran Kar Liya Maine.
उठा कर चूम ली हैं चंद मुरझाई हुई कलियाँ,
तुम न आये तो यूँ जश्न-ए-बहारां कर लिया मैंने।

Intezar-e-Fasl-e-Gul Mein Kho Chuke Aankhon Ka Noor,
Aur Bahaar-e-Baag Leti Hi Nahi Aane Ka Naam.
इंतज़ारे-फस्ले-गुल में खो चुके आँखों के नूर,
और बहारे-बाग लेती ही नहीं आने का नाम।

Khud Hairan Hoon Main Apne Sabr Ka Paimana Dekh Kar,
Tu Ne Yaad Bhi Na Kiya Aur Maine Intezar Nahi Chhoda.
खुद हैरान हूँ मैं अपने सब्र का पैमाना देख कर,
तूने याद भी ना किया और मैंने इंतज़ार नहीं छोड़ा।

Advertisement

Intezaar Shayari, Intzaar Uska Magar

Hindi Intezaar Shayari, Tere Intezaar Mein

Comments