गुजरते लम्हों में सदियाँ तलाश करता हूँ,
प्यास इतनी है कि नदियाँ तलाश करता हूँ,
यहाँ पर लोग गिनाते है खूबियां अपनी,
मैं अपने आप में कमियाँ तलाश करता हूँ।
Gujarte Lamhon Mein Sadiyan Talaash Karta Hoon,
Pyaas Itni Hai Ke Nadiyan Talaash Karta Hoon,
Yahan Par Log Ginaate Hain Khoobiyan Apni,
Main Apne Aap Mein Kamiyan Talaash Karta Hoon.
कहते है हर बात जुबां से हम इशारा नहीं करते,
आसमान पर चलने वाले जमीं से गुज़ारा नहीं करते,
हर हालात को बदलने की हिम्मत है हम में,
वक़्त का हर फैसला हम गंवारा नहीं करते।
Kehte Hain Har Baat Jubaan Se Hum Ishara Nahi Karte,
Aasmaan Par Chalne Wale Zamin Se Gujaara Nahi Karte,
Har Haalaat Ko Badalne Ki Himmat Hai Hum Mein,
Waqt Ka Har Faisla Hum Ganwaara Nahi Karte.