Intezaar Shayari, Tera Intezaar Kya Karte
Shayaris about Intezaar in Hindi and English Font
Aap Kareeb Hi Na Aaye Izhaar Kya Karte,
Hum Khud Bane Nishana To Shikaar Kya Karte,
Saanse Saath Chhod Gayi Par Khuli Rakhi Aankhein,
Iss Se Jyada Kisi Ka Intezaar Kya Karte.
आप करीब ही न आये इज़हार क्या करते,
हम खुद बने निशाना तो शिकार क्या करते,
साँसे साथ छोड़ गयीं पर खुली रखी आँखें,
इस से ज्यादा किसी का इंतज़ार क्या करते।
Mujhko Ab Tujh Se Mohabbat Nahi Rahi,
Aye Zindgi Teri Bhi Mujhe Jarurat Nahi Rahi,
Bujh Gaye Ab Uske Intezaar Ke Woh Diye,
Kahin Aas-Paas Bhi Uski Aahat Nahi Rahi.
मुझको अब तुझ से मोहब्बत नहीं रही,
ऐ ज़िंदगी तेरी भी मुझे ज़रूरत नहीं रही,
बुझ गये अब उसके इंतज़ार के वो दिए,
कहीं आस-पास भी उस की आहट नहीं रही।
Unka Bhi Kabhi Hum Deedar Karte The,
Unse Bhi Kabhi Hum Pyaar Karte The,
Kya Karein Jo Unko Humari Jarurat Na Thi,
Par Phir Bhi Hum Unka Intezaar Karte The.
उनका भी कभी हम दीदार करते थे,
उनसे भी कभी हम प्यार करते थे,
क्या करे जो उनको हमारी जरुरत न थी
पर फिर भी हम उनका इंतज़ार करते थे।