Intezaar Shayari, Har Pal Tera Intezaar
Nice Hindi Poetry on Intezaar
Mujhe Har Pal Tera Intezaar Rehta Hai,
Har Lamha Mujhe Tera Ehsaas Rehta Hai,
Tujh Bin Dhadkane Ruk Si Jaati Hain,
Ki Tu Dil Mein Dhadkan Banke Rehta Hai.
मुझे हर पल तेरा इंतज़ार रहता है,
हर लम्हा मुझे तेरा एहसास रहता है,
तुझ बिन धडकनें रुक सी जाती हैं,
कि तू दिल में धड़कन बनके रहता है।
Tu Yaad Kare Na Kare Teri Khushi,
Hum Toh Tujhe Yaad Karte Rehte Hain,
Tujhe Dekhne Ko Dil Tarsata Rehta Hai,
Aur Hum Tera Intezaar Karte Rehte Hai.
तू याद करे न करे तेरी ख़ुशी,
हम तो तुझे याद करते रहते हैं,
तुझे देखने को दिल तरसता रहता है,
और हम तेरा इंतज़ार करते रहते हैं।
Udaas Aankhon Mein Qaraar Dekha Hai,
Pehli Baar Use Beqaraar Dekha Hai,
Jise Khabar Na Hoti Thi Mere Aane Ki,
Uski Aankho Mein Intezar Dekha Hai.
उदास आँखों में करार देखा है,
पहली बार उसे बेक़रार देखा है,
जिसे खबर ना होती थी मेरे आने की,
उसकी आँखों में अब इंतज़ार देखा है।