Intezaar Shayari, Main Raah Dekhta Raha
Hindi Poetry on Waiting eagerly
Tamaam Raat Mere Ghar Ka Ek Dar Khula Raha,
Main Raah Dekhta Raha Woh Rasta Badal Gaya.
तमाम रात मेरे घर का एक दर खुला रहा,
मैं राह देखता रहा वो रास्ता बदल गया।
Kabhi Toh Chaunk Ke Dekhe Koi Humari Taraf,
Kisi Ki Aankh Mein Humko Bhi Intezar Dikhe.
कभी तो चौंक के देखे कोई हमारी तरफ़,
किसी की आँख में हमको भी इंतज़ार दिखे।
Jo Teri Muntzir Thi Woh Aankhein Hi Bujh Gayin,
Ab Kyun Saja Raha Hai Chiragon Se Shaam Ko.
जो तेरी मुंतज़िर थीं वो आँखें ही बुझ गई,
अब क्यों सजा रहा है चिरागों से शाम को।
Kuchh Roj Yeh Bhi Rang Raha Tere Intezaar Ka,
Aankh Uthh Gayi Jidhar Bas Udhar Dekhte Rahe.
कुछ रोज़ यह भी रंग रहा तेरे इंतज़ार का,
आँख उठ गई जिधर बस उधर देखते रहे।
Muddat Se Khwab Mein Bhi Nahi Neend Ka Khyaal,
Hairat Mein Hun Yeh Mujhe Kis Ka Intezar Hai.
मुद्दत से ख्वाब में भी नहीं नींद का ख्याल,
हैरत में हूँ ये किस का मुझे इंतज़ार है।
Fir Muqaddar Ki Lakeeron Mein Likh Diya Intezar,
Fir Wohi Raat Ka Aalam Aur Main Tanha Tanha.
फिर मुक़द्दर की लकीरों में लिख दिया इंतज़ार,
फिर वही रात का आलम और मैं तन्हा-तन्हा।