Zid Mat Kiya Karo Meri Daastaan SunNe Ki,
Main Hans Kar Bhi Kahunga Toh Tum Rone Lagoge.
ज़िद मत किया करो मेरी दास्तान सुनने की,
मैं हँस कर भी कहूँगा तो तुम रोने लगोगे।
Raah-e-Wafa Mein Hum Ko Khushi Ki Talaash Thi,
Do Kadam Hi Chale The Ki Har Kadam Pe Ro Pade.
राह-ए-वफ़ा में हम को ख़ुशी की तलाश थी,
दो कदम ही चले थे कि हर कदम पे रो पड़े।
Falak Ke Taaron Se Kya Dur Hogi Zulmat-e-Shab,
Jab Apne Ghar Ke Chiraagon Se Roshni Na Mili.
फलक के तारों से क्या दूर होगी जुल्मत-ए-शब,
जब अपने घर के चरागों से रोशनी न मिली।
Na Shauk Deedar Ka Na Fikr Judai Ki,
KhushNaseeb Hain Woh Log Jo Mohabbat Nahi Karte.
ना शौक दीदार का ना फिक्र जुदाई की,
खुशनसीब हैं वो लोग जो मोहब्बत नहीं करते।
Na Bharosa Karna Iss Dunia Main Kisi Par,
Mujhe Tabaah Karne Wala Mera Bada Ajeez Tha.
न भरोसा करना इस दुनिया में किसी पर,
मुझे तबाह करने वाला मेरा बड़ा अजीज़ था।
Jo Likhta Firta Hai Deewar-o-Dar Pe Naam Mera,
Bikher De Na Kahin Harf-Harf Karke Mujhe.
जो लिखता फिरता है दीवार-ओ-दर पे नाम मेरा,
बिखेर दे ना कहीं हर्फ़ हर्फ़ करके मुझे।
Aasan Nahi Aabaad Karna Ghar Mohabbat Ka,
Yeh Unka Kaam Hai Jo Zindgi Bardaab Karte Hain.
आसान नहीं आबाद करना घर मोहब्बत का,
ये उनका काम है जो ज़िदगी बरबाद करते हैं।
Dekha To Woh Shakhs Bhi Mere Dushmano Mein Tha,
Naam Jiska Shaamil Meri Dhadhkano Mein Tha.
देखा तो वो शख्स भी मेरे दुश्मनों में था,
नाम जिसका शामिल मेरी धड़कनों में था।
Sad shayari, Teri Zulf Ke Pencho Se
Sad Shayari, Zakhm Chahat Ke