Hindi Gham Shayari

Advertisement

Gham Shayari, Apna Gham Bulate Hain

Hindi Gham Shayari in Two Lines

Gham Shayari, Apna Gham Bulate Hain

Tu Naraaj Na Raha Kar Tujhe Wasta Hai Khuda Ka,
Ek Tera Chehra Dekh Hum Apna Gham Bhulate Hain.
तू नाराज न रहा कर तुझे वास्ता है खुदा का,
एक तेरा चेहरा देख हम अपना गम भुलाते है।

Tere Haath Se Mere Haath Tak Ka Jo Fasla Tha,
Use Naapte Use KaatTe Meri Saari Umr Gujar Gayi.
तेरे हाथ से मेरे हाथ तक का जो फासला था,
उसे नापते उसे काटते मेरी सारी उमर गुजर गयी।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Gham Shayari, Tere Ishq Ka Gham

Simple and Heart Touching Shayari about Sorrow of Love

Gham Shayari, Tere Ishq Ka Gham

TujhKo Pakar Bhi Na Kam Ho Saki Betabi Dil Ki,
Itna Aasaan Tere Ishq Ka Gham Tha Bhi Nahi.
तुझको पा कर भी न कम हो सकी बेताबी दिल की,
इतना आसान तेरे इश्क़ का ग़म था ही नहीं।

Raha Yoon Hi NaMukammal Gham-e-Ishq Ka Fasana,
Kabhi Mujhko Neend Aayi Kabhi So Gaya Zamana.
रहा यूँ ही नामुकम्मल ग़म-ए-इश्क का फसाना,
कभी मुझको नींद आई कभी सो गया ज़माना।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Gham Shayari, Dil Mein Gham Raha

Very Heart Touching Shayari about Sadness in Heart

Gham Shayari, Dil Mein Gham Raha

Jab Tak Apne Dil Mein Unka Gham Raha,
Hasraton Ka Raat Din Maatam Raha,
Hijr Mein Dil Ka Na Tha Saathi Koi,
Dard Uthh-Uthh Kar Shareeke-Gham Raha.
जब तक अपने दिल में उनका गम रहा,
हसरतों का रात दिन मातम रहा,
हिज्र में दिल का ना था साथी कोई,
दर्द उठ-उठ कर शरीके-गम रहा।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Gham Shayari, Meri Daastan-e-Gham

Two Liner Touching Gham Shayari in Hindi

Gham Shayari, Meri Daastan-e-Gham

Sun Kar Tamaam Raat Meri Daastan-e-Gham,
Woh Muskura Ke Bole Bahut Bolte Ho Tum.
सुन कर तमाम रात मेरी दस्ताने-ग़म,
वो मुस्कुरा के बोली बहुत बोलते हो तुम।

Duniya Bhi Mili Game-E-Duniya Bhi Mili Hai,
Woh Kyun Nahi Milta Jise Manga Tha Khuda Se.
दुनिया भी मिली गम-ए-दुनिया भी मिली है,
वो क्यूँ नहीं मिलता जिसे माँगा था खुदा से।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Gham Shayari, Tere Gham Ko Zamane Se

Nice Gham Shayari from the Heart of an Inconsolable Lover

Khushk Aankhon Se Bhi Ashqon Ki Mahek Aati Hai,
Main Tere Gham Ko Zamane Se Chhupaaun Kaise.
खुश्क आँखों से भी अश्कों की महक आती है,
मैं तेरे गम को ज़माने से छुपाऊं कैसे।

Woh Nahi Toh Maut Sahi Maut Nahi Toh Neend Sahi,
Koi Toh Aaye Shab-e-Gham Ka Muqaddar Ban Kar.
वो नहीं तो मौत सही, मौत नहीं तो नींद सही,
कोई तो आए शब-ए-ग़म का मुकद्दर बन कर।

[ Read More Shayaris ]