Hindi Gham Shayari

Advertisement

Gham Shayari, Gham Ka Karz

Great Gham Shayari in Hindi

Karz Gham Ka Chukana Pada Hai,
Ro Ke Bhi Muskurana Pada Hai,
Sach Ko Sach Keh Diya Isi Par,
Mere Peechhe Jamana Pada Hai.
कर्ज गम का चुकाना पड़ा है,
रोके भी मुस्कुराना पड़ा है
सच को सच कह दिया था इसी पर
मेरे पीछे जमाना पड़ा है।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Gam Shayari, Gam Se Nijaat Kya Maangu

Dilkash Hindi Gam Shayari

Gam Shayari, Gam Se Nijaat Kya Maangu

Bichhad Gaye Hain Jo Unka Saath Kya Maangu,
Jara Si Umr Baqi Hai Gam Se Nijaat Kya Maangu,
Woh Saath Hote To Hoti Zaruratein Bhi Hamein,
Apne Akele Ke Liye Kaynaat Kya Maangu.
बिछड़ गए हैं जो उनका साथ क्या मांगू,
ज़रा सी उम्र बाकी है इस गम से निजात क्या मांगू,
वो साथ होते तो होती ज़रूरतें भी हमें,
अपने अकेले के लिए कायनात क्या मांगू।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Gham Shayari, Gham Ke Kisse

New Shayari on Sad Feeling of Sorrow in Hindi Font

Gham Shayari, Gham Ke Kisse

Kise Sunayein Apne Gham Ke Chand Panno Ke Kisse,
Yehan Toh Har Shakhs Bhari Kitab Liye Baitha Hai.
किसे सुनाएँ अपने ग़म के चन्द पन्नो के किस्से
यहाँ तो हर शख्स भरी किताब लिए बैठा है।

Gham Toh Hai Har Ek Ko Magar Hausle Hain Juda Juda,
Koyi Toot Kar Bikhar Gaya Koi Muskura Ke Chal Diya.
ग़म तो है हर एक को, मगर हौंसला है जुदा- जुदा,
कोई टूट कर बिखर गया कोई मुस्कुरा के चल दिया।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Gham Shayari, Tere Gham Ki Hifazat

Gham Shayari on Very Sad Feeling of Sorrow

Gham Shayari, Tere Gham Ki Hifazat

Log Parh Lete Hain Aankho Se Dil Ki Baat,
Ab Mujhse Tere Gham Ki Hifazat Nahi Hoti.
लोग पढ़ लेते है आँखों से मेरे दिल की बात,
अब मुझसे तेरे गम की हिफाजत नहीं होती।

Yeh Mayoos Safar Aur Yeh Ghamgeen Shaam,
Main Ruk Toh Jaaun Magar Koi Rokta Nahi.
ये मायूस सफर और ये ग़मगीन शाम,
मैं रुक तो जाऊं मगर कोई रोकता नहीं।

[ Read More Shayaris ]

Advertisement

Hindi Gham Shayari, Gham-e-Mohabbat Ho

Gam Bhari Shayri in Two Lines

Hindi Gham Shayari, Gham-e-Mohabbat Ho

Tej Raftaar Zindagi Ka Ye Aalam Hai Dosto,
Subah Ke Gham Bhi Sham Ko Purane Lagte Hain.
तेज रफ़्तार जिंदगी का ये आलम है दोस्तों,
सुबह के गम भी शाम को पुराने लगते हैं।

Sirf Zinda Rahne Ko Zindgi Nahi Kahte,
Kuchh Gham-e-Mohabbat Ho Kuchh Gham-e-Jahan Ho.
सिर्फ जिंदा रहने को जिंदगी नहीं कहते,
कुछ गमे-मोहब्बत हो कुछ गमे-ज़हान हो।

[ Read More Shayaris ]

123456Next ›