
Lagta Nahin Hai Dil Mera Ujde Dayaar Mein,
Kiski Bani Hai Aalam-e-NaPayedar Mein.
Kah Do Inn Hasraton Se Kahin Aur Ja Basein,
Itni Jagah Kahaan Hai Dil-e-Daagdaar Mein.
Umr-e-Daraaz Maang Kar Laaye The Chaar Din,
Do Arzoo Mein Kat Gaye Do Intezaar Mein.



